Showing posts with label #स्वाद #बेमिसाल #सेहत #भरपूर. Show all posts
Showing posts with label #स्वाद #बेमिसाल #सेहत #भरपूर. Show all posts

Thursday, 24 May 2018

अरबी के पत्ते की सब्जी।


 Arbi k pattae ki sabji.....


Aaj ham aapko arbi k paatae ki sabji banana batane jarahe hai.

For 2 Person:-
samagri:- 
Arbi k chhote chhote pattae ( 6 pcs)
Besan:- 200 g
Masale:- jeera,haldi,laal mirch,dhaniya powder,pyaj,harimirch,adrak, lehsoon ka paste( jo khate ho).

Vidhi:-

. Arbi ke patto ko achhae se dho lijiye saaf pani se.unki danthal ko kaat dijiye. besan ka thick ghol taiyarr kijiye, halka namak, aur 1/4 spoon haldi  dalke achhae se milale.. ek ek karke besan k patto ko thali pe faila le, pehle ek patta le us par besan ka thik paste failaye, us par dusra patta rakhe thoda position hata k ... besan lapetne ki prakriya pattae par dohraye 6 patto tak, fir un patto ko roll karke us par bachaa hua besan ka paste laga de.Kdhai me pani garam hone rakhe, steam aane per us par support k liye ya to patto ki todi hui dhanthal ka jaal banaye ya plate type sancha ho uski madad se patto ka roll steam karae...
10 min baad kisi nukili ya chaku se gada kar roll check karae ki paka hai ya nahi, yadi roll pak gaya hai to wo tight hojayega, nahi pakka hai to sofness rahegi.. to usae aur kuch min. pakne dena hai.(dhyan rahe steam me pakana hai).Roll Pakne k baad usae chimtae ki sahayata se nikal kar plate me thanda kar le....uske baad usko pcs, me kaat le...... saaf kadhai me oil dale, jo bhi khate ho sarso ya refined apne taste anusaar...jeera, heeng pissi hui pyaj,lehsan,adrak ka paste daale, sunehra hone tak bhune.haldi dhaniya powder, laal mirch dale, thoda pani daal k pakaye fir swad anusaar namak daale, yaad rahe ki namak aap pehle bhi istemaal kar chuke hai.usi ka andaaza lete huae namak daale.ab pattae ke pcs ko bhunae huae masale me daalkar thoda aur bhunae...yadi aapko y sabji sukhi pasan hai to bhun k band kar de gas aur yadi gravy wali pasan hai to thoda pani aad kare, thick gravy rakhe usi anusaar pani milaye, ubbal aane de.... fir gas band kar de.y aapki swadist arbi k paate ki sabji taiyaar....


plz comment ki kaisi lagi y recipie....

Taste with Health

चुकंदर का अचार और उसके फायदे।

                                                        चुकंदर का अचार यूं तो चुकंदर कुछ लोगो को बहुत पसंद होता है कुछ को बिलकुल नहीं, लेकिन...